Garm reti pa me girta hu sambhalo ama

Posted by Murtuza Abbas on March 28, 2014 | Views: 2338 | Ratings: 601


HAAY ASR KA WAQT HAI, SHABBIR KI AATI HAI SADA Chur zakhmo se badan hogaya ama mera Apni agosh me, ab mujko chupalo ama Are dhoop hai apni aba aoo-aan ke dalo ama Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)

Thak gayaa lashe uta kar mai bhare lashkar ke Laash Qasim ki me la--ya hu kabhi Akber ki Khud baniyi hai lahad maine Ali Asgar Do tasali muje sine se lagalo ama

Teer talwar se, khanjar se badan zakhmi hai Khaak jalti hai to zakhmo main chubhan hoo-ti hai Mere zakhmo se mere dil ka lahu jaari hai Apni chadar ko mere zakhm pe dalo ama

Mera Abbas khafa hogaya amma mujse Wo nahi aaya uta laya tha bazu uske Aap ek kaam kare nehre kanare jaake Mere ruute huwe bha’ayi ko manaalo ama

Chakiyaan pisi hai goudi me bithakar mujko Jaag ti rehti thi zaanu pe sula kar mujko Loriya deti-thi jhule me jhula kar mujko Ek dafa goud me phir apni sulalo ama

Aur kuch der ka mehmaan hu tum paas raho Rait zakhmo me hai aachal se use saaf karo Aati hai rone ki aawaz Sakina dekho Jaawo tum jaake Sakina ko sambhalo ama

Dekh wo aag lagi shame ghariba aayi Dekho ghabra ke nikal aayi meri maa jaayi Dekho behoosh Sakina ka pada hai bhaayi Jawo Sajjad ko sholo se nikalo ama

Hai ghuzarish meri tumse to ab-itni madar Ama baba ki kasam dhamp lo moo par chadar Dekha jayenga na ab tumse ye khooni manzar Khatl hota hun nighaho ko hataalo ama

Hogi jab hashr ke maidan mai majlis barpa Farsh-e-gham shay ka bechay-engi Janab-e-Zehra Ayegi Hazarath-e-Sabbir ki REHAN Sada Aaj ji khool ke tum ashk baha loo ama

Garm reti pa me girta hu sambhalo ama (2)